Рет қаралды 3,009
🌑 Bismillah 🌑
Ro ke Zainab ne kaha Meri chinti na rida Abbas Jo zinda hotey | Meraj hallauri rizvi Nauhey 2024/1446
#syedmerajhaiderrizvihallauri #abbasjozindahotey #nauhey2024 #imamhusain #karbala#gaziabbasalamdar
Kalam title - Abbas Jo zinda hotey
Recited by - Meraj hallauri
Poetry by - Arsh hallauri
Composition by - Meraj hallauri
Chorus:-Mir Bashrat, Abbas Karbalai, Agha jan Ali, Tahir Hussain, Zaigham Hadi .
Audio:- Praveen (sadgamaya studios)
video shoot :- Humair rizvi Dxb
Video Editing:- Amir Jokhio (RIZV Production)
Mixing & mastering by - zaigam Hadi (pak) ,
Arrangements by:--Zaigham Hadi (pak)
Arrangements:- Ali Imran zaidi (pak)
Lable -MHR
$========================$
special thanx :- Ali Imran zaidi , janisar Ahmad , Mohd Hashim, Mohd jhon , Darain Abbas, Abid jamal , Mohd kaif , Rizvi Aseem Saif Abbas ,Aamir , Mufeed Aalam ,Rizvi Aasif
& Anjuman haidery hallaur..
album 2042/1446(H)
Nauha lyrics ::--
Mere bhaiyya gazi abbas mere bhaiyya gazi abbas
ro ke zainab ne kaha ,meri chinti na rida - abbas ho zinda hotey
na ujadta kunba na mera ghar jalta - abbas jo zinda hotey
khoon se apney sakeena na nahai hoti
chaar salon me na yun gham ki satai hoti
na ho bundey chintey , na tamachey lagtey - abbas jo zinda hotey
kab ye mumkin tha hme qadi banate aada
kisme himmat thi nazar bhar ke haram ko takta
jis ghadi qaid hue, lab pe aaye nauhey- abbas Jo zinda hotey
Meri halat pe taras khate sitamgar kab hai
dees apna bhi nhi loog paraye sab ha
kissey fariyaad karun , kissey ja kar mai kahun - abbas Jo zinda hotey
dekh kar shimre sitamgar ko tarazna uska
mujhse dekha nhi jata hai tadapna uska
chouti zehra pe sitam , yun na hotey hardam - abbas Jo zinda hotey
sharm se apni nigahen na jhukatey ham sab
apney balon se na chehrey ko chupatey ham sab
phool kab kharon me , jatey bazaron me - abbas jo zinda hotey
har ghadi zulm ke ehsaas na dil par sehtey
bhookh aur pyaas me ashkon ko na pee kar
vo ali ke Jani, le ke aatey paani -abbas jo zinda hotey
mere bimaar ke hathon me na rassi hoti
taoq gardan me na paero me ye bedi hoti
chalta na kharon par, na hi angaron par - Abbas jo zinda hotey
pushtey naqa se sakeena ko giratey zalim
ek yateema pe sitam
ek yateema pe sitam aisey na dhatey zalim
haye kamsin bachchi , kab mazalim sehti- abbas Jo zinda hotey
Amma zehra ki kamai Jo qaza ne looti
jiske marne se shahe Deen ki kamar bhi tooti
han wahi ibn ali, jisko kehtey thy jati - abbas jo zinda hotey
q na aye Arsh vo meraj kare ham matalb
dil me har waqt rkhe q na na alamdaar
lab pe zainab ke Jo thi hai sada aaj wahi - Abbas Jo zinda hotey
----------------------------------------
copyright 🚫
#anjumanhaideryhallaur #hussain #muharram #nauha2024 #karbala #hussain