Рет қаралды 44,238
#Ali #Manqabat #AnisNawab
Yaum-e-Wilaadat-e-Ameer-ul-Momineen, Imam-ul-Muttaqeen, Baab-ul-Madinat-ul-Ilm, Faatah-e-Khaybar, Asad-ul-laah, Abu Turaab, Haidar-e-Karraar, Hazrat MAULA ALI (AS) ke mauqe par AAP (AS) ki shaan me Janaab Akhtar Barodawi (Khalifa-e-Refai) ki likhi hui mashhoor-o-maqbool manqabat ko BAZM-E-REFAI (Khanqah-e-Refaia, Baroda) ki jaanib se Ameer-ul-Momineen Hazrat Maula ALI (AS) ki baargaah me ba taur-e-nazraana-e-aqidat pesh karne ki sa’aadat haasil ki jaa rahi hai.
Allah (swt) Huzoor (saw) ke sadqe me jumla aqeedatmandon ko Ameer-ul-Momineen Hazrat Maula ALI (AS) aur Ahl-e-Bayt-e-Athaar ki mohabbat ataa farmaaye aur dono jahaan me unke fuyuz-o-barakaat se mustafeez farmaaye. AAMEEN.
Aawaaz: Anis Nawab
Music: Anis Nawab
Lyrics: Akhtar Barodawi (Khalifa-e-Refai)
Aaftaab-e-Wilaayat Ali, Yaa Ali, Yaa Ali Yaa Ali
Aap ki har kiran hai wali, Yaa Ali, Yaa Ali, Yaa Ali.
Jhoom kar Abr-e-Rehmat uthaa, aur taa der barsaa kiyaa,
Baat Sarkaar ki jab chali, Yaa Ali, Yaa Ali Yaa Ali.
Raahato(n) ke banaa do sabab, ho(n) pareshaaniyaa(n) door sab,
Hadh se badhti chali be-kali, Yaa Ali, Yaa Ali, Yaa Ali.
Zikr hai subh-o-shaam Aap kaa, kitna shiri(n) hai naam Aap kaa,
Jaise misri ki koi dali, Yaa Ali, Yaa Ali, Yaa Ali.
Ban gayaa wo wali waqt kaa, Tere dar se lipat kar Shahaa,
Khaak-e-Dar jisne rukh par mali, Yaa Ali, Yaa Ali, Yaa Ali.
Shaam kaisi kahaa(n) ki sahar, ab to ye bhi nahi(n) kuch khabar,
Shammaa kab bujh gayee kab jali, Yaa Ali, Yaa Ali, Yaa Ali.
Aap kaa baagh hai be-khizaa(n), pattaa pattaa haraa hai yahaa(n),
Muskuraati rahi har kali, Yaa Ali, Yaa Ali, Yaa Ali.
Bijliyaa(n) hai(n) sitam ki Shahaa, zad me hai Ummat-e-Mustafa,
Al madad, Al madad, Yaa Ali, Yaa Ali, Yaa Ali, Yaa Ali.
Ye to hai mehfil-e-aashiqaa(n), ek hi rang me hai(n) yahaa(n),
Maaliki, Shaafaee, Humbali, Yaa Ali, Yaa Ali, Yaa Ali.
Zindagi hai wohi zindagi, bandagi hai wohi bandagi,
Tere saaye me jo hai pali, Yaa Ali, Yaa Ali, Yaa Ali.
Yu(n) to 'Akhtar' ko kyaa thi khabar, mil gayaa kyu(n) Refai ka dar,
Uski ki qismat me the sab Wali, Yaa Ali, Yaa Ali, Yaa Ali.