No video

Bahadur Shah Zafar - Jise Aish Mein Yaad-e-Khuda Na Rahi - CLASSICAL URDU POETRY

  Рет қаралды 17,955

Lehja

Lehja

Күн бұрын

Urdu Poetry of Bahadur Shah Zafar
Ghazal: Jise Aish Mein Yaad-e-Khuda Na Rahi Jise Taish Mein Khouf-e-Khuda Na Raha
Recitation: Raheel Farooq
جسے عیش میں یادِ خدا نہ رہی جسے طیش میں خوفِ خدا نہ رہا
بہادر شاہ ظفرؔ کی غزل - کلاسیکی اردو شاعری
---------
SUBSCRIBE: / @urdu
WEBSITE: urdugah.com/lehja
SUPPORT: / urdu
---------
POETRY TEXT:
غزل کا مکمل اردو متن:
نہیں عشق میں اس کا تو رنج ہمیں کہ قرار و شکیب ذرا نہ رہا
غمِ عشق تو اپنا رفیق رہا کوئی اور بلا سے رہا نہ رہا
دیا اپنی خودی کو جو ہم نے اٹھا وہ جو پردہ سا بیچ میں تھا نہ رہا
رہے پردے میں اب نہ وہ پردہ نشیں کوئی دوسرا اس کے سوا نہ رہا
نہ تھی حال کی جب ہمیں اپنے خبر رہے دیکھتے اوروں کے عیب و ہنر
پڑی اپنی برائیوں پر جو نظر تو نگاہ میں کوئی برا نہ رہا
ترے رخ کے خیال میں کون سے دن اٹھا مجھ پہ نہ فتنۂ روزِ جزا
تری زلف کے دھیان میں کون سی شب مرے سر پہ ہجومِ بلا نہ رہا
ہمیں ساغرِ بادہ کے دینے میں اب کرے دیر جو ساقی تو ہائے غضب
کہ یہ عہدِ نشاط یہ دورِ طرب نہ رہے گا جہاں میں سدا نہ رہا
اسے چاہا تھا میں نے کہ روک رکھوں مری جان بھی جائے تو جانے نہ دوں
کیے لاکھ فریب کروڑ فسوں نہ رہا نہ رہا نہ رہا نہ رہا
لگے یوں تو ہزاروں ہی تیرِ ستم کہ تڑپتے رہے پڑے خاک پہ ہم
ولے ناز و کرشمہ کی تیغِ دو دم لگی ایسی کہ تسمہ لگا نہ رہا
ظفرؔ آدمی اس کو نہ جانیے گا وہ ہو کیسا ہی صاحبِ فہم و ذکا
جسے عیش میں یادِ خدا نہ رہی جسے طیش میں خوفِ خدا نہ رہا
Ghazal in Roman Text (Credits: Rekhta)
nahīñ ishq meñ is kā to ranj hameñ ki qarār o shakeb zarā na rahā
ġham-e-ishq to apnā rafīq rahā koī aur balā se rahā na rahā
diyā apnī ḳhudī ko jo ham ne uThā vo jo parda sā biich meñ thā na rahā
rahe parde meñ ab na vo parda-nashīñ koī dūsrā us ke sivā na rahā
na thī haal kī jab hameñ ḳhabar rahe dekhte auroñ ke aib o hunar
paḌī apnī burā.iyoñ par jo nazar to nigāh meñ koī burā na rahā
tire ruḳh ke ḳhayāl meñ kaun se din uThe mujh pe na fitna-e-roz-e-jazā
tirī zulf ke dhyān meñ kaun sī shab mire sar pe hujūm-e-balā na rahā
hameñ sāġhar-e-bāda ke dene meñ ab kare der jo saaqī to haa.e ġhazab
ki ye ahd-e-nashāt ye daur-e-tarab na rahegā jahāñ meñ sadā na rahā
use chāhā thā maiñ ne ki rok rakhūñ mirī jaan bhī jaa.e to jaane na duuñ
kiye laakh fareb karoḌ fusūñ na rahā na rahā na rahā na rahā
lage yuuñ to hazāroñ hī tīr-e-sitam ki taḌapte rahe paḌe ḳhaak pe ham
vale naaz o karishma kī teġh-e-do-dam lagī aisī ki tasma lagā na rahā
'zafar' aadmī us ko na jāniyegā vo ho kaisā hī sāhab-e-fahm-o-zakā
jise aish meñ yād-e-ḳhudā na rahī jise taish meñ ḳhauf-e-ḳhudā na rahā
#Urdu #Poetry #Classic

Пікірлер: 28
Get 10 Mega Boxes OR 60 Starr Drops!!
01:39
Brawl Stars
Рет қаралды 19 МЛН
Dad Makes Daughter Clean Up Spilled Chips #shorts
00:16
Fabiosa Stories
Рет қаралды 2,6 МЛН
Violet Beauregarde Doll🫐
00:58
PIRANKA
Рет қаралды 29 МЛН
Lagta Nahin Hai Dil Mera | Poetry | Bahadur Shah Zafar | Haider Saif | Live
5:39
nahi ishq mein iska to ranj humein-bahadur shah zafar
1:15
davulf111
Рет қаралды 27 М.
Get 10 Mega Boxes OR 60 Starr Drops!!
01:39
Brawl Stars
Рет қаралды 19 МЛН