Waqt Ki Ahmiyat Hadees Ki Roshni Me - The Importance of Time in the Light of Hadith By Adv Faiz Syed

  Рет қаралды 181,421

IRC TV

Жыл бұрын

𝐌𝐀𝐈𝐍 𝐏𝐎𝐈𝐍𝐓𝐒
00:00 - Promo
01:43 - Start
03:58 - Unwan Ki Wazahat
10:12 - Waqt Ek Azeem Nemat Hai
12:49 - Waqt Ko Zaya Karna Maut Se Zyada Khatarnak Hai
14:18 - Sabse Bada Nadaan Kaun Hai ?
15:11 - Waqt Real Asset Hai - Time is Money
16:27 - Hum Waqt Ke Talluq Se Allah Ka Shukr Karne Wale Bane
20:06 - Bekar - Meaningless Kamo Ko Chhorh Dena
26:36 - Kaunsi 2 Nemato Ke Bareme Log Dhoke Ke Shikar Hote Hai
30:53 - In 5 Cheezon Ko 5 Cheezon Se Pehle Ghaneemat Jaanlo
36:23 - Zindagi Kaha Lagai Is Sawal Ka Jawab Diye Baghair Qayamat Ke Din Humare Pair Nahi Halenge
41:11 - WAQIAT - Aslaaf Kaise Apne Waqt Ka Sahih Istemal Karte The
42:32 - Allah Kis Shaqs Ki Koi Excuse Accept Nahi Karega ?
48:05 - Nabi ﷺ Ne Logo Me Sabse Behtar Kise Kaha ?
51:55 - Aslaaf Procrastination Aur Susti Se Kaise Deal Karte The ?
57:12 - Is Ummat Ki Umre - Age Kitni Hogi?
1:00:31 - Nabi ﷺ Ek Square Banakar Hume Kya Bataya ?
1:04:52 - Nabi ﷺ Waqt Ka Kitna Sahih Istemal Karte The?
1:06:44 - Ahle Jannat Kis Ghadi Par Afsos Karenge Jannat Me Jane Ke Baad ?
𝐐&𝐀
1:13:16 - Q1 Procrastination Ki Adat Ko Kaise Khatam Kare ?
1:21:07 - Q2 Dating Apps Or Dusre Social Media Par Deen Ki Dawat Dena Aur Khud Ibadat Me Susti Karna Kaisa Hai ?
1:24:05 - Q3 Kya Subah Jaldi Uthne Se Waqt Me Barkat Hoti Hai ?
1:25:19 - Q4 Qayamat Ke Din Jo 5 Sawalat Honge Kya Wo Sirf Momin Ke Sath Honge Aur Unke Jawabat Dene Ke Baad Kya Mamla Honga ?
1:27:46 - Q5 Ladies Ko Baccho Ke Aur Ghar Ke Kaam Kaaj Hote Hai Aese Me Hum Waqt Ka Sahih Istemal Kaise Kare ?
1:36:21 - Q6 Hum Apne Baccho Ko Pure Din Ka Time Table Kaise Manage Karke De Taake Unka Waqt Sahih Istemal Ho ?
1:39:28 - Q7 Adv. Faiz Syed Jin Topics Par Lectures Dete Hai Waise Topics Masajid Me Kyun Nahi Hote Hai Kyunke Masajid Me Jumah Khutbah Me Zyada Log Aate Hai ?
𝗗𝗢𝗡𝗔𝗧𝗘 𝗨𝗦 𝗨𝗣𝗜 𝗜𝗗: 𝗜𝗥𝗖𝗘𝗪𝗧@𝗦𝗕𝗜 .
𝗔𝗦𝗞 𝗬𝗢𝗨𝗥 𝗤𝗨𝗘𝗦𝗧𝗜𝗢𝗡: 𝟴𝟬-𝟱𝟱𝟰𝟱-𝟱𝟱𝟰𝟱
𝗗𝗢𝗡𝗔𝗧𝗘 𝗢𝗡𝗟𝗜𝗡𝗘: irc-india.com
𝗝𝗼𝗶𝗻 𝗢𝘂𝗿 𝗪𝗵𝗮𝘁𝘀𝗔𝗽𝗽 𝗚𝗿𝗼𝘂𝗽 - bit.ly/2y3DQnu
𝗙𝗮𝗰𝗲𝗯𝗼𝗼𝗸 - FaizAliSyed
𝗜𝗻𝘀𝘁𝗮𝗴𝗿𝗮𝗺 - AdvFaizSyed
𝗔𝗕𝗢𝗨𝗧 𝗧𝗛𝗘 𝗦𝗣𝗘𝗔𝗞𝗘𝗥 & 𝗜𝗥𝗖:
𝗡𝗔𝗠𝗘: @Adv. Faiz Syed ​
𝗗𝗘𝗦𝗜𝗚𝗡𝗔𝗧𝗜𝗢𝗡:
* Founder & President, Islamic Research Centre Education & Welfare Trust.
* President, Al Kitab Education & Welfare Society.
* Shura Member, All India Dawah Centres Association - AIDCA
* Director IRC TV
𝗙𝗔𝗧𝗛𝗘𝗥'𝗦 𝗡𝗔𝗠𝗘: Azam Ali Syed (Saudi Aramco Retired)
𝗕𝗢𝗥𝗡:12-Dec-1979.
𝗢𝗖𝗖𝗨𝗣𝗔𝗧𝗜𝗢𝗡: Business.
𝗨𝗡𝗜𝗩𝗘𝗥𝗦𝗜𝗧𝗬 𝗗𝗘𝗚𝗥𝗘𝗘𝗦:
* B.Sc. (Bachelor of Science in Computers)
* M.C.A (Master of Computer Application)
* B.G.L (Bachelor of General Laws)
* LL.B (Bachelor of Laws)
* M.A Islamic Studies.
* Fazil e Diniyat from Jamia Diniyat Urdu Deoband.
𝗠𝗘𝗗𝗜𝗔 𝗣𝗥𝗘𝗦𝗘𝗡𝗖𝗘:
@Adv. Faiz Syed​ is one of the most popular Urdu speaker globally besides KZfaq and internet viewership he comes regularly on different satellite TV channels, cable TV and radio channels internationally.
He is called for guest lectures at various Institutions, Organizations, Colleges and Schools.
𝗔𝗕𝗢𝗨𝗧 𝗜𝗥𝗖:
Islamic Research Centre (IRC) is a Registered, NGO / Non-profit organization, established in 2001. Adv Faiz Syed is its founder president. IRC aims to convey the true message of Islam (Peace) to Muslims as well as Non-Muslims with wisdom & beautiful preaching and to remove misconception about Islam among the masses and to provide social and welfare assistance to poor and needy in the field of Education, Health, Employment, Skill Development & Charitable Causes.
IRC uses modern technology for its activities, the message of Islam, as transmitted by IRC reaches millions of people worldwide through the internet, satellite TV and the print media. IRC's activities and facilities provide the much needed understanding about the truth and excellence of Islamic teachings - based on the glorious Qur'an, authentic Hadith as understood & practice by Salaf of this Ummah.
𝗔𝗖𝗧𝗜𝗩𝗜𝗧𝗜𝗘𝗦 𝗢𝗙 𝗜𝗥𝗖:
IRC TV
CHARITABLE HOSPITALS
PATHOLOGY LABORATORY
STUDY CENTRES
TECHNICAL INSTITUTE
IRC CALL CENTRE
MEDICAL, EDUCATIONAL & EMPLOYMENT AID
RATION KITS & FOOD DISTRIBUTION
FREE WATER SUPPLY
SKILL DEVELOPMENT PROGRAMS
WOMEN EMPOWERMENT PROGRAMS
TREE PLANTATION PROGRAMS
PRODUCTION
REFERENCE BOOKS LIBRARY
CAREER GUIDANCE
CONFERENCE
LADIES' WING
CHILDREN'S WING
WEEKLY LECTURES
DAWAH ORIENTATION PROGRAM (DOP)
ISLAMIC SUMMER CAMP (ISC)
APPROVED IOU CENTRE
EXHIBITION
AL KITAB EDUCATION & WELFARE SOCIETY
.
. #AFSLectures #WaqtKiAhmiyat #Procrastination #TheImportanceofTime #ImportanceofTime #Waqt #Ahmiyat #Time #Zamana #Asr #Arsaa #Hadees #Quran #Clock #Waqt #Time #Ahmiyat #Importance #ImportanceofTime #Value #ValueofTime #Hadith #Hadees #Ahadees #SayingsoftheProphet #Prophet #ProphetMuhammad #PeaceBeUponHim #Nabiﷺ #Procrastination #Timepass #TimeWaste #WastingTime #TimeisMoney #Hisab #AdvFaizSyed #IRCTV #IRC00518

Пікірлер: 72
@amanking8867
@amanking8867 Жыл бұрын
MA sha Allah Faiz bhai aap ka samjane ka tareqa bohat bohat aacha hai shukriya jazak Allah khair
@rizwanalisalam1057
@rizwanalisalam1057 Жыл бұрын
Faiz bhai, assalamo alaikum wa rahmatullah wa barakatuhu. Aapki umr mujhse kam hai, lekin aapke ilm aur deendari aur sahi samajh ki main tareef karta hoon. Allah aapko dono jahan ki kamyabi Naseeb farmaye, aameen. Assalamo alaikum wa rahmatullah wa barakatuhu.
@souladdinkhadar6703
@souladdinkhadar6703 Жыл бұрын
JAZAKALLAHU KAIRAN BHAI
@khatarnakdevil7.7
@khatarnakdevil7.7 Жыл бұрын
Aap ki sari video humne dekhi hai
@sidrakhan4869
@sidrakhan4869 Жыл бұрын
Jazakallah 💜 sooooo much🌞
@ndanish
@ndanish Жыл бұрын
Jazakallah u khaira
@ruhinaaz5281
@ruhinaaz5281 Жыл бұрын
Alhumdolillah Alhumdolillah Alhumdolillah shandaar amazing bayaan Allah paak aapko salamat rakhe sehatyab rakhe Khush rakhe Umar daraz karein Allah paak aapko har Bala aafat se mehfooz rakhe aameeeen jazakallah khair for great knowledge
@mdayaj9691
@mdayaj9691 Жыл бұрын
Masha allah mere bhai
@sbyadavyadav7186
@sbyadavyadav7186 Жыл бұрын
salam bhai Mola aap ko salamat rakhe aap ki har ek bat ki jo ahmiyat hai vo sab ko Jaan na bahut jaruri hai thank you so much aap ki har ek bat ke liye aap ka bahut bahut sukriya bhai 🌷🌷💛🤍🧡💜💚💗💙❤💛🤍🧡💜💚💗💙💛
@furkanali2127
@furkanali2127 Жыл бұрын
Allah aapko salamat rakhe
@khidmate-Deen
@khidmate-Deen Жыл бұрын
Jazakallahukhaira
@jamirkhan1137
@jamirkhan1137 Жыл бұрын
MAA shaallah
@minhajurrahman8127
@minhajurrahman8127 Жыл бұрын
Masha Allah Achchi jankari hai shukriya Allah Aap Ko Salamat rakhe Aameen
@imranchimpa
@imranchimpa Жыл бұрын
Mashallah
@Rubymycutiecat
@Rubymycutiecat Жыл бұрын
Rabanna la ru akizna innasina au akhtana, Rabbana wala tahmil alina isram kama hamaltuhu alal lazina min qablina, ranjana wala tuhammilna mala taqatalana fafu anna waqfirlana war hamna anta moulana fansurna ala quomil kqfireen Aameen Motivational, inspirational, productive guidelines for here and hereafter
@Kabeer515
@Kabeer515 Жыл бұрын
Aap bohot acha kam kar rahe hai
@zaheerabegum2868
@zaheerabegum2868 Жыл бұрын
Assalamu alaikum warahmatullahi wabarakatahu
@soaibalam5176
@soaibalam5176 Жыл бұрын
Masha Allah shaikh bahot khub Allah app ko salamat rakkhe ameen
@onecreator1428
@onecreator1428 Жыл бұрын
Jazakallah 😊
@samiyaiqbal314
@samiyaiqbal314 Жыл бұрын
masah Allah
@noorfathima8088
@noorfathima8088 Жыл бұрын
Jazakallah khair for cleaning unknown topic
@zaydulrehmanshaikh9598
@zaydulrehmanshaikh9598 Жыл бұрын
MashaAllah
@safafatima4511
@safafatima4511 11 ай бұрын
✨🔴WAQT ki AHMIYAT:- 📝Qawl:- 1. 🌺Waqt ALLAH ki Azeem Nemat hai... ⭐Jab ALLAH kisi ke sath khair/Bhalai ka irada karta hai to waqt ke zariye uski madad karta hai,waqt ko uske haq me, Ba-barkat kr deta, jb bhi woh baithne/rukne ka irada karta hai to waqt Chalne ka hukm deta aur uska Sahara banta hai....! ⭐Jab ALLAH kisi ke sath Shar ka irada karta hai to waqt ko uske mukhalif kr deta, tang kr deta,jab wo chalne ka irada karta hai to waqt uska sath nahi deta....! 2. 🌺 ALLAH ka bande se Eraaz/Naraaz/ doori rakhne ki Alamat ye hai:- bande ko ruswa karne ke liye use Bekar kaamo me Masroof kr deta hai ( means - Apne waqt ko zaya karne wala bana deta hai/Self time killer..! ) 3. 🌺 Waqt ka Zaya karna Maut se bhi zyada Nuksandeh/ Khatarnak hai:- kyunki waqt ka zaya haq/Sach/ Reality se door kr deta hai jabki maut sirf Makhlooq de door karti hai....! 4. 🌺 Yaqeenan Din aur Raat waqt momin ka Asal sarmaya/Maal/ punji/ real asset hai, iska nafa( Sahi istemal) Jannat hai iska nuksan( glt istemal) Aag/Jahannam hai... 5. 🌺 Waqt ke Talluq se ALLAH ka shukr karein:- i) Shaakir( Shukr karne wala) ko apne Mashkoor (jiska shukr kiya jaye/ ALLAH SWT ) ke samne Aajzee karna chahiye. ii) Shaakir ko chahiye ke apne Mashkoor se Mohabbat kare. iii) apne Mashkoor ki nemat ki tareef kare. iv) Is nemat ke bina pr Mashkoor ki Tareef aur Hamd-o-Sana kare. v) Is nemat ko Mashkoor ki napasandida( narazgi wale)chizon me istemal na kare. 🍃Note:- hamare Rabb ne humein bahot bari nemat waqt di hai, isliye har Musalman ko shukr guzar hokar iska sahi istemal karna chahiye, khaskar youths ko, jawani ke age me waqt ki qadr kr li to mustaqbil/Future aur aakhirat Sanwar jayegi InShaALLAH ❤✨ 📝Hadees:- 1.🌺( Sunan Tirmidhi 2317) Nabi Akram Saw ne Farmaya:- kisi insaan ke achhe islam ki nishani/Alamat/Khoobi/ pehchan ye hai ki wo be-Fayda/bekar/ meaningless/worthless kaamo ko tark kr/ chhor deta hai... (Momin jo bhi kaam kare wo haq ke liye ho/ sahi kaam ho/ sahi direction me ho/ sahi chiz ke liye ho Nuksandeh na ho...!) 2.🌺 ( Sahih Bukhari 6412) Nabi Saw ne Farmaya:- Do Nemate aisi hai jiske bare me log Aksar Dhoke ka shikar hote hain:- i) Sehat ii) Khali waqt 3.🌺 ( Al Mustadrak Alas Sahihain 7846) Nabi Saw ne naseehat karte hue Farmaya:- 5 cheezon ko 5 Cheezon se pehle Ghaneemat jaan lo/mtlb value pehchan lo/ sahi istemal kr lo:- i) Zindagi ko ghaneemat jaan lo Maut se pehle ii) Apni Sehat ko ghaneemat jaan lo bimari se pehle iii) Apne Khaali waqt ko ghaneemat jaano lo Masroofiyat se pehle iv) Apni jawani ko ghaneemat jaan lo budhape se pehle v) Maaldaari ko ghaneemat jaan lo ghareebi se pehle 4.🌺 (Sunan Tirmidhi 2417) Aap saw ne farmaya:- kisi bande ke qadam Qayamat wale din harkat nhi karenge yahan tak ki isse Sawal na kiya jaye:- i) Iske umar/Zindagi ke bare me ki kahan khapaya/kin kaamo me khtm kiya ii) Iske ilm ke bare me ki kitna Amal kiya. iii) Iske Maal ke bare me ki kahan se kamaya aur kahan kharch kiya. iv) Iske jism ke bare me ki kahan ise fana kiya 🌺( Silsila Ahadees 3773):- i) Zindagi kahan lagayi ii) Jawani kahan lagayi iii) Ilm pr kitna amal kiya iv) Kahan se maal kamaya v) Kahan Kharch kiya 5.🌺 ( Sahih Bukhari 6419) Nabi Saw ne farmaya:- ALLAH ne aise aadmi se Ujr khatm kr deta hai jiski maut ko muakhir/der/ takheer/Delay kr deta hai yahan tak ke usko 60 saal tak pahuncha deta hai... ( Itne lambi age ke baad, bhi koi apni Islah na kare, Zindgi nhi badle, waqt ka sahi istemal na kare , gunahon ko chhorkar taubah na kare etc.... ALLAH uski Ujr/Excuses/ explanation accept nhi karega) 🌺 (Sahih Muslim 296) Nabi Saw ne farmaya :- ALLAH 3 logon pr Reham nhi karenga,baat nhi karenga , Maghfirat nhi karenga....unme se ek hoga - Budha zaani 6.🌺 (Sunan Tirmidhi 2329) ek dehati ne Sawal kiya aye Allah ke rasool logon me sabse behtar kaun hai?Aap Saw ne Farmaya:- jiski umar lambi ho aur uske Aamaal achhe ho... 🌺( Sunan Tirmidhi 2330) logon me sabse bura kaun hai? Farmaya:- jiski Umar lambi aur Aamal bure ho.....! 🌺( Sunan Ibn Majah 3925):- EK Sahabi Khwaab dekhte hain ki ek sahabi ki Shahadat wali maut hui aur 1 saal baad ek sahabi ki bimari se maut hui , aur jannat me Shaheed baad me ja rahe aur wo pehle ja rahe, Nabi Saw se kaha to aap saw ne farmaya:- 1 saal zyada jiya to 1 saal namaze zyada padhi 1 Ramazan zyada payi, roza zyada rakhein ,1 saal neki karne ka zyada mauqa mila... 7.🌺( Sunan Tirmidhi 2450) Jisne Khauf mehsoos kiya wo raat ke pehle pehar hi safar me nikal para, aur jo raat ke pehle pehar safar pr nikal para wo Manzil tak pahunch gya, khabardar yaqeenan ALLAH ka sauda bara mehnga hai, khabardar ALLAH ka sauda Jannat hai... ( Mtlb neki karne ke liye zaldi kro, kal pr na taalo, takheer na kro) 8.🌺( Sunan Tirmidhi 3550) Nabi Saw ne farmaya:- meri ummat ke umare/ Age 60-70 ke darmiyan hongi aur isse aage badhne wale kam hi honge.... 9.🌺 ( Sahih bukhari 6417) Aap saw ne:- ek Murabba/ Square banaya aur uske nichi side se ek vertical line banyi jo upar wali side se aage nikal gyi aur is line pr chhoti chhoti horizontal line banayi...aur farmaya:- ye bari wali khadi line insaan hai,square/dabba uski maut hai jo charo taraf se usko ghere hui hai, aur line jo dabba se bahar nikal rahi hai wo uski umeedein hai aur ye chhoti chhoti line jo insan ke upar hai wo uski Musibaten hai ek se bachta to dusri aa jati dusri se bachta to teesri aa jati.... ⭐Isse aap saw ne bataya:- i)Insaan ko lambi lambi umeedein nhi lagani chahiye kyonki umeed maut se bahar bhi jati hai. ii) zindagi me musibat aana bhi zaroori hai. iii) lambi ummeed ke chakkar me maut se ghafil nhi hona chahiye. iv) Jab maut insaan ko ghere hue hai to iske aane se pehle zindagi ka ehsas karna chahiye . v) Apne waqt ko bekar umeedon ke husool me Masroof nhi karna chahiye. 10.🌺( Shub Al Iman 512) Aap saw ne farmaya:- Ahle jannat kisi ghadi jo duniya me guzari us pr hasrat nhi karega, mgr is ghadi pr jo duniya me aisi guzri hogi jin pr wo ALLAH ka zikr nhi kiya hoga.....! 🍃Note:- har insaan ko khudka muhasbaa/ check/survey/ observations karna chahiye ki wo apna waqt kahan zaya kr rahe, kin kaamo me istemal kr rahe.... Time table/Routine bnaye pure din 24hrs ka kaise utilise karna hai...Subah apne nafs ke sath shartt/challenge kare aur pure din khudki nighrani karte rahe ki kahin gunah na ho jaye agr, gunah ho jayr to fauran tauba karein, har kaam karne se pehle sonch le ki ALLAH dekh raha hai,kya ye kaam ALLAH ko pasand aayega wo khush honge?? Isliye har lamhe ka sahi istemal karein, Neki me gunahon se bachne me lagaye, DEEN aur duniya dono ke kaam Sirf ALLAH ki Raza ke liye achhi niyat ke sath sahi tariqe se karein......aur raat sone se pahle recall/zehan me yaad karein ki pura din kya kya kiya, kitni neki ki kitna gunah kiya,kya achha kiya kya bura kiya/hua.....glt kiya to khudko saza dekar tauba istighfar karke dobara na karne ka Ahad karein aur improvement lane/behtar banane ke liye zyada se zyada koshish karein...! 🍃 Apna khula dushman shaitan ko harana hai,Susti/Kahili shaitan ki taraf se jiski wjh se hm procrastinate karte/ apna kaam kal pr talte...use khtm karna hai apne nafs ki training karein roz ka kaam roz karne ki aadat dalein, jis kaam ka jo waqt hai usi waqt karein... nayi achhi aadat dalne me time lgta hai khud pr dhyan dekar practice kare, Dua kare, kabhi na-umeed na hokar koshish karte rahein,Deen ki baat,Hadith, Naseehat jo bhi sikhe pehle khud amal karein baad me dusron ko sikhaein....! 🍃 Khwateen bhi zyada se zyada sikhne aur Amal karne ki koshish karein, aur zehan se ye baat nikal dein ki hm bahot kaam karte ab nhi kr sakte, pehle ki Sahabiyan se sikhein wo kis tarah karti thi aur khud bhi waise hi deen duniya/ ghr ke kaam ke sath ibadaton, Nekiyon me izafa karne ki bhi koshish karein.... 🍃 Subah ke waqt me barkat hoti hai lihaza Subah Tahajjud, Fajar, Dua-Azkaar, Qur'an ki tilawat ke baad din ka Aagaaz karein ho sake to workout, walking, exercises etc...bhi shamil karein phir roz ka kaam karein, Farz ibaadaat ko acche se karne ke baad sunnat, Nafil ki bhi koshish karein...apne har din ko productive,Kal se behtar banaye, sahi ilm hasil karne aur Amal karne ki hamesha koshish karein.... ✨Last imp:- Humari manzil ALLAH hai, permanent address Jannat hai aur uske liye Mehnat karni hai...! 🌺💫 ALLAH SWT sabko waqt ka sahi istemal karne ki taufiq de Aameen ❤️✨
@arhaankhateeb966
@arhaankhateeb966 6 ай бұрын
Good
@user-pt7uv8jv4e
@user-pt7uv8jv4e 5 ай бұрын
Thank you very much❤
@mdzubair6531
@mdzubair6531 Жыл бұрын
Assalamualikum Faiz bhai. Ek small request hai. Bayaan k dauraan kaafi ads aa rahe hain. Agar ye aapke control mein hai toh please guzarish hai ke ads hataadein. Add aane ki wajh se concentration kharab ho raha hai! Jazak’Allah khair
@Fgbnmbcdsxc
@Fgbnmbcdsxc Жыл бұрын
Aap KZfaq premium lalo koi ad nhi ata
@mohammadtouhidansari947
@mohammadtouhidansari947 Жыл бұрын
App KZfaq primium buy kr lijiye Ad nhi Ayenge.
@afiya210
@afiya210 4 ай бұрын
Rhuhtkjgmfgot ❤😂🎉😢😮😅😊yuy
@ghazalaperween4005
@ghazalaperween4005 Жыл бұрын
Assalamu alikum wa rahmatullahi wa barkatuhu zajak Allah Khair ❤️
@jamirkhan1137
@jamirkhan1137 Жыл бұрын
Ameen
@SamSung-iv4sq
@SamSung-iv4sq Жыл бұрын
Hadis no. 1,2,3,4,5,6,7,8,9,10 20:00 31:00 36:25 48:00
@merazulhaque6475
@merazulhaque6475 10 ай бұрын
Alhamdolillah
@meozir6268
@meozir6268 Жыл бұрын
Ya Allah Walaykumselam Wa Rahmatulahi Wa Barakatuh , sukria for truth Powerful Hadees Masha Allah Subhan Allah Alhamdulillah Ameen
@bikes_editx
@bikes_editx Жыл бұрын
Bhai kya concert main gana gany waly py MashAllah bol sakty
@mangiayoob7660
@mangiayoob7660 Жыл бұрын
Sir school Walon ko bh ap bole k school time ziyada na Karen plz
@sakinabee9002
@sakinabee9002 Жыл бұрын
ameen Yarabbulalameen
@aameen786vlogs
@aameen786vlogs Жыл бұрын
Swad ke bad dwad ata he ya zwad please answer me
@mdshahabuddin6459
@mdshahabuddin6459 Жыл бұрын
Nice explain
@rizwanshort5467
@rizwanshort5467 Жыл бұрын
☺️☺️
@khanirshad5276
@khanirshad5276 Жыл бұрын
Baap ka aqeqa na hua ho to kya wo apni aulad ka aqeeqa kr sakta hai...please reply kriye...please😫🙏🙏💓
@alsul9242
@alsul9242 Жыл бұрын
Assalamu'alaikum
@srstudio2424
@srstudio2424 Жыл бұрын
can you please let us know the name of app >> which monitor whole day
@sj6230
@sj6230 Жыл бұрын
Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatahu. Mera ek sawal hai !Kya yeh jumla Quran aur hadees ki bunyad kar sahi hai "Ammi k faisle ko Allah ka faisla kahna kis had tak sahi hai?" Quran o hadees k zarye bataye
@javedmdjaved3379
@javedmdjaved3379 Жыл бұрын
Faiz bhi ek bat bolu nabi ke saya ke bare me
@HarunRashid-rs6gf
@HarunRashid-rs6gf Жыл бұрын
Barae karam hadith ka arbi matan batae
@ummeshami2979
@ummeshami2979 Жыл бұрын
Plz Answer this question. Kya ek ladki aapne paiso se aapne maa baap ko hajj Karwa sakti hai?? ......
@khatarnakdevil7.7
@khatarnakdevil7.7 Жыл бұрын
Aap hamen namaj padhakar sikhayen
@HumaTuber
@HumaTuber Жыл бұрын
Ap ali mirza sahb ki Quran o sunnat se namaz ka tarika sikh sakte hai Fais syed ke byan bhut achhe hote hai lekin practical video unke channel per hai
@arshadtamboli6970
@arshadtamboli6970 Жыл бұрын
@@HumaTuber right i also follow engineer Ali Mirza, Ali Mirza bhi bahut acche se bayan dete he mene Rafal yadein se namaj padna unhi se hi sikhi he.
@HumaTuber
@HumaTuber Жыл бұрын
@@arshadtamboli6970 hmm blkul maine v😇
@heenaali3829
@heenaali3829 Жыл бұрын
Assalamu alekum
@IRCTV
@IRCTV Жыл бұрын
Walaikum Assalam Wa Rahmatullahi Wa Barakatuh Heena Ali Agar Koi Sawal Ya Masla Ho To Hume Call Kare 80-5545-5545 (8am to 10pm IST)
@heenaali3829
@heenaali3829 Жыл бұрын
Me bhi bahut sooti hu 7 saal ho gaye
@ayeshaumar7712
@ayeshaumar7712 Жыл бұрын
Aslam o alikum. Bahi mujy aik question puchna hy .kia ap answer dy dee gay
@asifansari4148
@asifansari4148 Жыл бұрын
Aap unse content kijiye
@ayeshaumar7712
@ayeshaumar7712 Жыл бұрын
@@asifansari4148 on ka contact number kaha sy mily ga
@asifansari4148
@asifansari4148 Жыл бұрын
Watsapp no. Bhi hai
@ayeshaumar7712
@ayeshaumar7712 Жыл бұрын
@@asifansari4148 mery pass Nhi hy
@ayeshaumar7712
@ayeshaumar7712 Жыл бұрын
@@asifansari4148 ap ky pass hy to ap dy dee
@Exploring_velogs.
@Exploring_velogs. Жыл бұрын
A.@_Explain bukhari hadess 6594 ... Tnku
@masudmasudalam8368
@masudmasudalam8368 Жыл бұрын
🗣️Assalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarkatuh🤝🥰 *👉 তুমি নামাজ পড়ো নি কেনো ?* 🔹অসুস্থ তাই ! তুমি কি হযরত আইয়ুব (আঃ)এর চেয়েও অসুস্থ ? *👉 তুমি নামাজ পড়োনি কেনো ?* 🔹দায়িত্ব কর্মভার থাকার কারণে। তোমার কি হযরত সুলাইমান (আঃ) চেয়েও বড় রাজত্ব নাকি ? যে দায়িত্ব সামলাতে গিয়ে নামাজ পড়তে পারনি ? *👉 তুমি নামাজ পড়োনি কেনো ?* 🔹স্বামীর অত্যাচারের কারণে। তোমার স্বামী কি বিবি আছিয়া (রাঃ) স্বামী ফেরআউন এর চেয়েও বেশী অত্যাচারী ? *👉 তুমি নামাজ পড়োনি কেনো ?* 🔹সাংসারিক কাজকর্মের কারণে। তুমি কি মা ফাতেমার (রাঃ) চেয়েও বেশী সংসারী ? 👎🏻নাহঃ নামাজ না পড়ার জন্য আল্লাহর কাছে কোনো অজুহাত চলবে না। ⚠সমুদ্রে হাবুডুবু খেলেও তখন ওয়াক্ত হলে নামাজ আদায় করতে হবে।কারণ প্রতিটা শ্বাস প্রশ্বাস এর জন্য আমরা আল্লাহর কাছে ঋনী। ⚠বিনা কারণে এক ওয়াক্ত নামাজ ছেড়ে দিলে মুসলিম আর মুসলিম থাকে না,মুশরেক হয়ে যায়,যদি না তাওবা করে দ্রুত নামায আদায় করে। আর তুমি ওয়াক্তের নামাজ ওয়াক্তে না পড়ে মারা গেলে কি অবস্থায় মরলে তা চিন্তা করা দরকার। তুমি ভাবো 🤔🤔 👉🏻মনে রাখবে, তোমাকে পরিষ্কার পরিছন্ন সুন্দর পবিত্র কাপড়ে দাঁড়িয়ে নামাজ পড়তে হবে,সুন্দর কাপড় না থাকলে যা আছে তা দিয়েই নামাজ পড়তে হবে। তুমি দাড়াতে না পারলে বসে পড়বে, বসতে না পারলে শুয়ে অথবা ইশারায় পড়বে।তবুও তুমি সালাত ছাড়তে পারবেনা।কারণ বিচারের মাঠে নামাজ না পড়ে বেচে যাওয়ার কোন পথ নেই । 👆🏻নামাজের বিনিময়ে তোমাকে কানাডা, আমেরিকার ভিসা দেয়া হলে তুমি কোনো তাহাজ্জুদ ও ছাড়তে না,অথচ জান্নাতের ভিসার বেলায় ফরজ নামাজেও তোমার অবহেলা। আসলে তুমি নিজে থেকেই কোনো গুরত্বই দিচ্ছো না । 👍🏻যদি আল্লাহ বলতেন, প্রতি ওয়াক্তের জন্য তুমাকে ১০০০ টাকা দেয়া হবে তাহলে বহু মানুষ সারা দিন রাতই নামাজ পড়তো, কিন্ত পরকালে এর চেয়ে কোটিগুন সম্পদ বা সুখ শান্তি দেয়া হবে, কিন্ত তুমি তা বিশ্বাস ই করো না, করলে ১ ওয়াক্ত নামাজও তোমার ছুটে যেতো না। 👉🏻তোমার খাওয়া দাওয়া, আনন্দ ফুর্তি, ঘুম, টিভি দেখা কোনটাই বাদ যায় না,অথচ সালাতের বেলায় বাদ যায়। আসলে তুমি দুনিয়ার জীবনকেই বেশি গুরত্ব দিচ্ছো,,,,আর মুখে মুখে বলছো আমি আখেরাত বিশ্বাস করি । 🔹অথচ অন্তরের সব খবর "আল্লাহ" ভালোই জানেন।_ *❔আমরা আমাদের নিজেদের প্রশ্ন করা উচিত।* ⚠সুখের হাজার বছর ঘন্টায় কাটে, আর দুঃখের প্রতিটি সেকেন্ড এক একটি বছর মত মনে হয়।আর চিরস্থায়ী জাহান্নামে প্রতিটি ঘন্টা,বছর আমাদের কিভাবে কাটবে তা ভাবা উচিত ? 👆🏻উপরের কয়েকটা উদাহরণ বার বার পড়ে দেখ বিচারের মাঠে নামাজ না পড়ার কোন যুক্তি তোমার চলবে কিনা.? যদি না চলে তাহলে তোমার কি হবে তা চিন্তা করা উচিত ? আর বুদ্ধিমানরাই চিন্তা করে। ♨ দুনিয়ার আগুনের চেয়ে ৭০ গুন তেজোদৃপ্ত জাহান্নামের আগুন থেকে যদি বাঁচতে চাও, নামাজে কখনো অবহেলা করো না। 👏🏻আল্লাহ্ রাব্বুল আলামিন আমাদেরকে সময়মত নামাজ পড়ার তৌফিক দিন। 🤲🏻 আমীন 🤲🏻 🗣️আল্লাহ আমদেরকে সঠিক বুঝ এবং হেদায়েত দান করুন। আমিন 🤲 🗣️আল্লাহ্ পাক আমাদের সবাইকে আমল করার তাওফীক দিন। আমীন 🤲
@srstudio2424
@srstudio2424 Жыл бұрын
sir please dont compare that ear of women (sahabiat) with today women their is no comparison with them
@arslanbari5236
@arslanbari5236 Жыл бұрын
Ads
@izharkhan3319
@izharkhan3319 Жыл бұрын
padri🤣🤣🤣
@jameelfarooqui7182
@jameelfarooqui7182 Жыл бұрын
Waqt se din aur raat Waqt se kal aur aaj Waqt ki har shai gulam Waqt ka har shai pe raaj !
@mohdmohsin4805
@mohdmohsin4805 8 ай бұрын
Kya hadees ki kitabon ka zikr qoran mein maujood hai kya khatna karana qoran mein maujood hai qoran mein sirf qoran ko kyun importance di gai hai ye sawaal mujhe pareshan kar rahe hain please bataye
@mohammadaltaf7802
@mohammadaltaf7802 Жыл бұрын
Mashallah
My little bro is funny😁  @artur-boy
00:18
Andrey Grechka
Рет қаралды 11 МЛН
We Got Expelled From Scholl After This...
00:10
Jojo Sim
Рет қаралды 76 МЛН
Жайдарман | Туған күн 2024 | Алматы
2:22:55
Jaidarman OFFICIAL / JCI
Рет қаралды 1,4 МЛН
My little bro is funny😁  @artur-boy
00:18
Andrey Grechka
Рет қаралды 11 МЛН